Nachikheta: Hey Prabhu mujhe batae ki Marne ke baad kya hota hai?
Atma ka kya hota hai?
Marne ke baad Atma kaha chale jati hai. ?
Sansaar mai marne ka itna dar kyu hai ?
Yamraj : Hey Nachiketa ! tu mujse mat puch marne ke baad kya hota hai. Badle mai tu chae mai tujhe is Dharti Lok ka swami banae deta hu. Is Saansar aur swarg mai sundar se sundar ladki tujhe diye deta hu..
Tu Hajar saal jee aur tera Pariwar aur putra be hajar saal jiye ,Esa Ashirbaad diye deta hu. Jo tujhe chaiye tu wo maang le mujhse, lekin yeh maat puch ki marne ke baad aaatma ka kya hota hai.. Kuch raaz sabko nahi kahe ja sakte.
Nachikheta : Hey Yam ! Itna toh samaj gaya jo satya ap nahi batana chate wo jarur in sansaari sukho se Jo ap mujhe dene tiyar hai wo unse Bada hi hoga.
Mai sare sukho ko chodhne tiyar hu. Kripa kar ke mujhe batae marne ke baad atma ka kya hota hai .
( Nachiketa satya ka khoji tha ..yam,raj dwara itne lalach dene ke baad be wo dhiga nahi..kehte hai yamraaj ko jhukna pada usse satya batane.
Yam : HEy Nachiketa tere andar kuch esa hai jo baki kisi mai muskil se milta hai. tu sach janne ka hakdaar hai . Is satya ko janne ke baad maut ka sara dar tere andar se katam ho jaegha
Mai satya kahe diye deta hu